AI Voice Agent
Missed call = missed dhandha. Roz kitne miss ho rahe hain?
AI Voice Agent aapke calls uthata hai — appointment book karta hai, sawal ka jawab deta hai, lead note karta hai. 24 ghante.
Custom quote
Demo
AAPKE WHATSAPP PAR — call khatam hote hi
AUR YEH KABHI NAHI KAREGA
Jo woh bol de woh aapka vaada ban jaata hai. Isliye range batata hai, pakka number nahi — aur kehta hai “yeh sir khud batayenge”.
Shuru mein hi kehta hai ki woh business ka assistant hai. Log tez madad maaf kar dete hain; dhokha nahi.
Hindi, Marathi, English — aur beech mein badal jaaye toh bhi saath chalta hai. Buzurg grahak English menu mein nahi khota.
Bahar se number utha ke thok-thok call karna Bharat mein kanoon ke khilaaf hai, aur hum karte bhi nahi. Yeh sirf unhe call karta hai jinhone khud aapse baat ki ho — form bhara ho, enquiry ki ho, ya pehle se grahak hon.
Aapke hi number par baithta hai. Jab aap na utha sako tab, ya band ke baad — aap tay karo, kabhi bhi badal do.
Ye kahani jaani-pehchaani hai?
- Kaam mein busy the, 5 call miss — usme se 2 naye customer the.
- Receptionist ka kharcha har mahine — aur wo bhi 9 se 6.
- Raat ya chhutti ke din ka customer hamesha ke liye chala jata hai.
Ye aapke liye hai, agar
- Phone din bhar bajta hai aur aadhe call uthte hi nahi.
- Aap kaam mein hote ho — dukaan mein, gaadi mein, customer ke saath — aur tabhi phone aata hai.
- Wahi ke wahi sawaal phone par: khula hai kya, daam kya, kahan ho.
- Dukaan band hone ke baad aaya call poora bekaar chala jaata hai.
Ye aapke liye nahi hai, agar
- Din ke do-chaar call aate hain. Itne ke liye ye nahi.
- Aapke dhandhe mein har call lamba aur uljha hua hota hai. Toh insaan hi chahiye — aur hum yahi kahenge.
Kaam kaise hota hai
- 1
Aapke aam call samajhte hain
Log phone par sach mein kya poochte hain — daam, waqt, pata, uplabdhta, appointment. Andaze se nahi.
- 2
Jawab aur awaaz tay karte hain
Marathi, Hindi ya English. Awaaz kaisi ho ye aap sun ke tay karte ho, aur har jawab approve karte ho.
- 3
Kahan rukna hai, wo tay karte hain
Jaankari dena agent karega. Chhoot, shikayat, badi order, uljha sawaal — naam-number leke turant aapko alert.
- 4
Chalu karke sunte rehte hain
Pehla hafta har call hum khud sunte hain. Jahan jawab kam pada wahan turant sudhaarte hain.
Haath mein kya aayega
- Har call pehli ring mein uthta hai — din mein, raat mein, chhutti ke din bhi.
- Aapki manzoori se tay jawab, teen bhasha mein — Marathi, Hindi, English.
- Har call ki nond: kaun, kab, kya poocha, number kya.
- Zaroori call aaya toh turant WhatsApp par alert, naam aur number ke saath.
- Ek saath kai call — das logon ne ek saath phone kiya toh bhi kisi ko busy nahi milta.
- Mahine ki report: kitne call aaye, kitne jawab agent ne diye, kitne aap tak aaye.
Aaj ka tareeka aur ye
Har call ka jawab — 24×7, bina thake.
- Appointments khud book hote hain — aapke calendar mein.
- Aam sawalon (timing, address, daam) ka turant jawab.
- Har call ka note — kaun, kya chahiye, kab call back.
- Zaroorat par insaan ko transfer — customer atakta nahi.
Aapke sawaal
Awaaz kaisi hogi?
Natural — Hindi/Marathi/English jaisa aapka customer bolta hai. Demo sun ke hi decide karo.
Mere business ke sawal kaise jaanega?
Setup mein aapke saath baith ke sab feed karte hain — timings, services, daam, policies.
Kharcha kitna?
Custom quote — call volume aur bhasha par depend. Baat karke saaf likh ke denge.
Aaj kitne call chhoote? Aapko pata hi nahi.
Na utha hua call kahin nond mein nahi aata. Wo customer dobara phone nahi karta — wo agle naam ko karta hai. Bas itna badalta hai, aur pehle hi mahine mein aankda dikh jaata hai.
Custom quote


