Google / Meta Ads Management

Ads par paisa phoonka, lead ek nahi aayi?

Boost button dabana marketing nahi hai. Google/Meta ads mein har rupaye ka hisaab hona chahiye — hum wahi karte hain.

from ₹20,000/mo (ad spend separate) + GST

Demo

₹0
IS MAHINE KHARCH HUA
Post boost karkeAAM TAREEKA
Chalayi hui campaignHAMARA TAREEKA

 

JO HUM VAADA NAHI KARENGE

Nateeje ki guarantee nahi

Jo aisa vaada kare usse dhyan se milna. Hum campaign, targeting aur likhaai sambhalte hain. Aapke pratispardhi, aapke rate aur bazaar hamare haath mein nahi.

Ad ka budget hamara fee nahi hai

Budget seedha Google/Meta ko jaata hai, aapke apne account se. Hamari fee alag hai. Aap hamesha dekh sakte ho kitna kharch hua.

Account aapke naam

Aapke naam par bane, aapke access ke saath. Kabhi alag hue toh account, itihaas aur poora data aapke paas rehta hai.

Kam kharch karne ki salah bhi

Agar ginti kehti hai ki ads aapke liye faayde ka sauda nahi, hum wahi bolenge — mahine ki fee lene ke bajaye.

Ye kahani jaani-pehchaani hai?

  • 'Boost post' par hazaron gaye, mila kya — pata nahi.
  • Agency ne ads chalaye, report mein sirf 'reach' dikhaya — customer kahan?
  • Galat audience par paisa jal raha hai roz.

Ye aapke liye hai, agar

  • Boost karte ho, paise jaate hain, like aate hain aur phone nahi aata.
  • Ads par har mahine kharch hota hai aur usse kitna dhandha aaya, bata nahi sakte.
  • Competitor ke ad barabar dikhte hain aur aapke kahin nahi.
  • Aapko isi hafte customer chahiye, chhah mahine baad nahi.

Ye aapke liye nahi hai, agar

  • Website ya WhatsApp abhi tayyar nahi. Pehle wo — tooti jagah par log bhejna matlab khaddhe mein paise.
  • Ads ke bina hamesha ka customer chahiye. Toh SEO + AI Visibility dekho — par wahan chhah mahine lagte hain.

Kaam kaise hota hai

  1. 1

    Customer kaun hai, ye tay karte hain

    Umar, jagah, pasand, pehle kya dhunda — jahan aapka asli customer hai wahi paise jaate hain, sab jagah nahi.

  2. 2

    Ad banate aur jaanchte hain

    Ek nahi, teen-chaar version. Kaun chalta hai ye andaze se nahi, aankde se tay hota hai.

  3. 3

    Enquiry kahan aayegi, wo theek lagate hain

    WhatsApp, phone ya form — aur wo jagah ad shuru hone se pehle tayyar hoti hai.

  4. 4

    Har hafte sudhaar

    Jo nahi chalta band, jo chalta hai usme zyada. Aur report enquiry ke aankde se shuru hoti hai.

Haath mein kya aayega

  • Google aur Meta dono par ads — aapke dhandhe ko jahan faayda hai wahi.
  • Ad ka design aur matter, aapki bhasha mein — Marathi, Hindi ya English.
  • Customer kaun hai, tay karke lagaya hua targeting — boost jaisa sab par nahi.
  • Enquiry aane ki jagah theek lagayi: WhatsApp, call ya form, aur har ek ki nond.
  • Har hafte sudhaar — jo nahi chalta wo turant band.
  • Mahine ki report jo enquiry se shuru hoti hai: kitna kharch, kitni enquiry, har enquiry par kitne rupaye.

Boost button aur chalayi hui ad

Facebook tay karta hai kise dikhana hai
Aapka customer kaun hai, hum tay karte hain
Ek hi ad, wahi chalti rehti hai
Teen-chaar version, aankde par chunaav
Like aur reach gine jaate hain
Enquiry gini jaati hai
Log aise panne par jaate hain jo tayyar nahi
Enquiry ki jagah pehle tayyar, phir ad
Mahina bhar wahi chalta rehta hai
Har hafte band-chalu, sudhaar
Account agency ke naam par
Ad account, pixel, data — sab aapke naam par

Leads laane wale ads — hisaab ke saath.

  • Sahi audience, sahi offer, sahi landing — teeno milke lead banti hai.
  • Har hafte numbers: kitna laga, kitni leads, kitne ka sauda.
  • Kharaab ad band, achha scale — roz ki nigrani.
  • Ad spend aapke account se — paisa aapki aankhon ke saamne.

Aapke sawaal

Kitna budget chahiye?

Fees from ₹20,000/mo + GST; ad spend alag aapke control mein. Chhota shuru karke scale karna hi samajhdari hai.

Kitni leads aayengi?

Industry aur offer par depend — pakki ginti ka jhooth nahi bolenge, par har hafte ka asli hisaab denge.

Landing page bhi chahiye hogi?

Achhi lead ke liye haan — hum bana dete hain (alag scope, saaf quote).

Paise wahi jaate hain. Farak sirf baad mein kya aata hai usme.

Pichhle mahine aapne boost par jo kharch kiya, wahi paise sahi bande ko dikhaye hote toh phone bajta. Rakam badalne ki zaroorat nahi — sirf wo kahan jaati hai, wo badalna hai.

from ₹20,000/mo (ad spend separate) + GST